Akhri Safar

Sat 22 January 2022 Tags poem

para hoon idhur charapoyee pey do ghuntey khuaar, ya Allah madad kar yey ghunta guzaar.

hai to lapeyta mujhey safaid chaadaron mein, naam tha jiska mayyat wo reh gaya srif kitaabon mein.

Lataad phool aur agarbatiyon ka istimal, hai yai koyee dolee yaa baraat ka istehsaal.

Hoon kab sai rab sai mulaqat ka muntazir, nahee lagtaa ye lamha-e-visaal mukhtasir.

Khara mein pehloo mein, dekhoon pursukoon moonh lapeytaa, kya yehee hai maayus anjaam ub meyra.

hui baatein khatum, do mazdooron ko awaaz, uthao ghair kandhon pai aur karo akhri safar ka aghaaz.

utra hoon is chey foot key kamrey mein, Rehaish meyrey jism ki ab yeheen hai is peepal kai sayey mein.

Kya taarey, kya suraj kya chaand dekhoon mein idhur sey, Wukht hai hisaab ka aur tayyari karoon mein dil sey.

aarzu-e-mulaqaat kai kaash koyee aayey milney, hamjaison key bhee they khwaab jo bas reh gayey khilney.


Comments